Saturday, July 08, 2006

Kuch Behtreen Shayri

"Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega
Door hone ke baad kaun kise yaad aayega
Jee lo ye pal jab humsath hai
kal ka kya pata, waqt kahan le jayega "

"Zarurat hi nahi alfaz ki,
Dosti to bas cheeze hai ahsas ki,
Pass hote to kya manzar hota,
Door se hi khabar hai hame apki har sas ki"

"Humko Mili Hain Aaj Yeh Ghadiyaan Naseeb Se
Jee Bhar Ke Dekh Lijiye Humko Qareeb Se
Phir Aapke Naseeb Mein Yeh Baat Ho Na Ho
Shaayad Phir Is Janam Mein Mulaaqaat Ho Na Ho"

"Sawaal paani ka nahi, Pyaas ka hai,
Sawaal maut ka nahi, Saans ka hai,
Dost to duniya mein bahut hain magar,
Sawaal dosti ka nahi Vishwas ka hai"

"Bekhudi ki zindagi hum jiya nahi karte,
jaam dusron se cheen kar hum piya nahi karte,
agar unko mohabbat hai toh hum se akar izhaar kare,
peecha hum bhi kissi ka kiya nahi karte"

"Kar ja kuch aisa Yaari me,
ki 'THANKS' aur 'SORRY' words baimaan lage,
nibha aisi yaari,
ki yaar ko tumhe chhodna mushkil aur duniya chhodna aasan lage"

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home