Saturday, July 08, 2006

Some more Lyrics

Wo beete din - Tanya

Woh beetein din yaad hai
woh pal cheen yaad hai
gujare tere sang jo
lagaa ke tujhe ang jo
woh muskana tera
woh sharmana tera
december ka shama
who beeghi beeghi shardiyaan

Woh mausum kya hua
na jane kahan kho gaya
bas yaadeineeee baaki


So gaya yeh Jahan - Mukesh

So gaya yeh jahan, so gaya aasma
So gayi hai saari manzile, O saari manzile,
So gaya hai rasta,
So gaya yeh jahan, so gaya aasma

Raat aayi tho woh jinke ghar the,
Woh ghar ko gaye so gaye,
Raat aayi tho hum jaise aawara
Phir nikle raahon mein aaur kho gaye
Is gali us gali, is nagar us nagar,
Jaaye bhi tho kaha jaana chahe agar,
O, So gayi hai saari manzile,
O, Sari manzile,
So gaya hai rasta,
So gaya yeh jahan, so gaya aasma


Zindagi Ke Safar Mein - Kishore

Zindagi Ke Safar Mein,Guzar Jaate Hain Jo Makaam
Vo Phir Nahin Aate, Vo Phir Nahin Aate
Phool Khilte Hain, Log Milte Hain
MagarPatjhad Mein Jo Phool Murjha Jaate Hain
Vo Baharon Ke Aane Se Khilte Nahin
Kuchh Log Ik Roz Jo Bichhad Jaate Hain
Vo Hazaron Ke Aane Se Milte Nahin
Umra Bhar Chahe Koi Pukaara Kare Unka Naam
Vo Phir Nahin Aate, Vo Phir Nahin Aate

Aankh Dhokha Hai, Kya Bharosa Hai
SunoDoston Shaq Dosti Ka Dushman Hai
Apne Dil Mein Ise Ghar Banane Na Do
Kal Tadapna Pade Yaad Mein Jinki
Rok Lo Rooth Kar Unko Jaane Na Do
Baad Mein Pyaar Ke Chahe Bhejo Hazaron Salaam
Vo Phir Nahin Aate, Vo Phir Nahin Aate

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home